ye visal o hijr ka masala to meri samajh mein na aa saka kabhi koi mujh ko na pa saka kabhi main kisi ko na pa saka kai bastiyon ko ulat chuka koi tab is ki na la saka magar aandhiyon ka ye silsila tera naqsh-e-pa na mita saka meri dastan bhi ajib hai wo qadam qadam mere sath tha jise raaz-e-dil na bata saka jise dagh-e-dil na dikha saka na hi bijliyan na hi barishen na hi dushmanon ki wo sazishen bhala kya sabab hai bata zara jo tu aaj bhi nahin aa saka kabhi raushni ki talab rahi kabhi hauslon ki kami rahi main charagh ko tere nam ke na jala saka na bujha saka wo jo aks rang-e-'hilal' thi wo jo aap apni misal thi mujhe aaj tak hai khalish yahi tujhe wo ghazal na suna saka