waqt ne rang bahut badle kya kuchh sailab nahin aae meri aankhen kab viran huin kab tere khwab nahin aae dil sahra ka wo tishna-lab har bar yahi socha jis ne mumkin hai ki aage dariya ho aur koi sarab nahin aae hum log kyun itne pareshan hain kis baat par aakhir nalan hain kya sari bahaaren ruth gain kya ab ke gulab nahin aae tum qurb ki rahat kya samjho tum hijr ki wahshat kya jaano tum ne wo raat nahin kati tum par wo azab nahin aae pahle bhi jahan par bichhde the wahi manzil thi is bar magar wo bhi be-laus nahin lauta hum bhi be-tab nahin aae ye bazm-e-'hilal' hai khub magar jab tak na sunaen aap ghazal chehron ke gulab nahin mahken mahfil pe shabab nahin aae