ye wafa mange hai tum se na jafa mange hai meri masum jabin ek khuda mange hai dil ka har zakhm mera dad-e-wafa mange hai be-gunahi meri ab tum se saza mange hai dil-e-kam-bakht ko dekho to ye kya mange hai ek but sab se alag sab se juda mange hai ek uchatti si nazar ek tabassum ki kiran dil-e-kam-zarf wafaon ka sila mange hai hosh jate rahe 'mumtaz' ke shayad logo asr-e-hazir mein wo jine ki dua mange hai