kisi insan ko apna nahin rahne dete shahr aise hain ki tanha nahin rahne dete daere chand hain gardish mein azal se jo yahan koi bhi chiz hamesha nahin rahne dete kabhi nakaam bhi ho jate hain wo log ki jo wapsi ka koi rasta nahin rahne dete un se bachna ki bichhate hain panahen pahle phir yahi log kahin ka nahin rahne dete jis ko ehsas ho aflak ki tanhai ka der tak us ko akela nahin rahne dete waqai nur liye phirte hain sar pe koi apne atraf jo saya nahin rahne dete zindagi pyari hai logon ko agar itni 'malal' kyun masihaon ko zinda nahin rahne dete