ye wahm hai mera ki haqiqat mein mila hai khurshid mujhe wadi-e-zulmat mein mila hai shamil meri tahzib mein hai haq ki himayat andaz-e-baghawat ka wirasat mein mila hai ta-umr rifaqat ki qasam khai thi jis ne bichhda hai to phir mujh ko qayamat mein mila hai rukte hi qadam panw pakad len na masail har shakhs isi khauf se ujlat mein mila hai kuchh aur thahar jao sar-e-ku-e-tamanna ye hukm mujhe lamha-e-hijrat mein mila hai aadab kiya jae kise kitne adab se ye fan mujhe barson ki riyazat mein mila hai sayyaad ne lagta hai ki fitrat hi badal di har phul mujhe khar ki surat mein mila hai