koi saya na shajar yaad aaya thak gae panw to ghar yaad aaya khil uthe phul se sahraon mein phir wo firdaus-e-nazar yaad aaya phir mere panw mein zanjir padi phir tera hukm-e-safar yaad aaya laut jaane ko bahut dil machla kya pas-e-gard-e-safar yaad aaya sari ummidon ne dam tod diya nakhl-e-be-barg-o-samar yaad aaya lakh chaha tha ki wo chashm-e-ghazal phir na yaad aae magar yaad aaya khwab aur aalam-e-bedari mein ret par ret ka ghar yaad aaya marsiya din ka likha tha 'rashid' shab ko unwan-e-sahar yaad aaya