ye waqt raushni ka mukhtasar hai abhi suraj tulu-e-muntazar hai shahadat lafz ki dushwar-tar hai kitabon mein bahut zer-o-zabar hai abhi khulne ko hai dar aasman ka abhi izhaar ka pyasa bashar hai ye duniya ek lamhe ka tamasha na jaane dusra lamha kidhar hai jo dekha hai wo sab kuchh hai hamara jo an-dekha hai wo ummid bhar hai main khud khashak-e-girwida hun warna mere hathon mein tinka shah par hai phir is ke baad bas hairaniyan hain khabar wala bhi khasa be-khabar hai mera nara hai jangal aag jaisa mera kalma shikasta baal-o-par hai zaban meri siyasat chatti hai ki is ka zaiqa shir-o-shakar hai ye andhi pyas ka mausam hai 'ahmad' samundar raushni ka be-asar hai