agar chhuta bhi us se aaina-khana to kya hoga wo uljhe hi rahenge zulf mein shana to kya hoga bhala ahl-e-junun se tark virana to kya hoga khabar aaegi un ki un ka ab aana to kya hoga sune jao jahan tak sun sako jab nind aaegi wahin hum chhod denge khatm afsana to kya hoga andheri raat zindan panw mein zanjir-e-tanhai is aalam mein mar jaega diwana to kya hoga abhi to mutmain ho zulm ka parda hai khamoshi agar kuchh munh se bol uththa ye diwana to kya hoga janab-e-shaikh hum to rind hain chullu salamat hai jo tum ne tod bhi dala ye paimana to kya hoga yahi hai gar khushi to raat bhar ginte raho tare 'qamar' is chandni mein un ka ab aana to kya hoga