ye wo aazmaish-e-sakht hai ki bade bade bhi nikal gae ye unhin patangon ka zarf hai ki parai aag mein jal gae teri aastin ki kahkashan jo nazar padi to machal gae jo teri khushi ka nichod the wahi ashk taron mein dhal gae mile sard-ahon mein ashk-e-gham to sharar-o-barq mein dhal gae ye na jaane kaise charagh the ki hawa ke rukh pe bhi jal gae kisi kisi phul par kisi shakh par kahin ab thaharti nahin nazar mere aashiyane ke sath mein mere hausle bhi to jal gae mere walwalon ke mizaj bhi ba-lihaz-e-mausam-e-waqt hain kabhi sard aah mein jal gae kabhi ashk ban ke pighal gae ye to kaam himmat-e-dil ka hai teri rah mein pas-o-pesh kya jo thahar gae wo thahar gae jo nikal gae wo nikal gae bas ek aanch si nazar aai thi hai ye raaz ab bhi dhaka dhaka wo tera hasin itab tha ki hum apne taw mein jal gae jo tarashe fikr ne aaine tera aks husn-e-nazar bana jinhen tujh se kuchh bhi lagao tha wo khayal sher mein dhal gae utha shor mahfil-e-naz se huin aabdida masarraten liya kis ne nam 'siraj' ka ki charagh ashk ke jal gae