tir jaise kaman ke aage maut kudel jawan ke aage baadshah aur faqir donon the shahr mein ek dukan ke aage chalte chalte zamin ruk si gai na-gahan ek makan ke aage hum bhi apna mujassama rakh aae raat andhi chatan ke aage tasht-e-jaan mein saja ke rakhna tha harf-e-dil mehman ke aage kya ajab shakhs hai ki baitha hai dhup mein saeban ke aage hum kisi ko gawah kya karte is khule aasman ke aage kab talak jhut bolte sahib is tarah khandan ke aage kaun kahta 'rasa' khuda-lagti aise kafir guman ke aage