ye yaqin ye guman hi mumkin hai tujh se milna yahan hi mumkin hai khwab ek mumkin o mayassar ka garche us ka bayan hi mumkin hai behad o be-hisab shauq mein bhi qasd ku-e-butan hi mumkin hai tangna-e-jahan-e-zahir mein ye zamin ye zaman hi mumkin hai had se had is rah-e-hazimat mein pursish-rah-rawan hi mumkin hai aatish-e-dil pe dalne ke liye reg-e-rah-e-rawan hi mumkin hai sarhad-e-mumkinat se aage sar pe ek aasman hi mumkin hai aan baithe ki ji lagane ko sohbat-e-dostan hi mumkin hai arsa-e-zindagi mein teri meri sirf ek dastan hi mumkin hai kya tamasha hai yan uthane ko ek bar-e-giran hi mumkin hai