zamin nahin ye meri aasman nahin mera mata-e-khwab ba-juz kuchh yahan nahin mera ye unt aur kisi ke hain dasht mera hai sawar mere nahin sar-ban nahin mera mujhe tumhaare tayaqqun se khauf aata hai ki is yaqin mein shamil guman nahin mera main ho gaya hun khud apne safar se begana ki nind meri hai khwab-e-rawan nahin mera to aab o khak se bach kar kidhar ko jata main dawam-e-wasl hai baqi nishan nahin mera phir ek din usi mitti ko laut jaunga gurez tujh se rah-e-raftagan nahin mera sada-e-shahr-e-guzishta abhi bulati hai go ab aziz koi bhi wahan nahin mera