ye zamin jo saqafat mein zarKHez thi isko kya ho gaya

ye zamin jo saqafat mein zarkhez thi is ko kya ho gaya
is ki sharh-e-numu to bahut tez thi is ko kya ho gaya

ab surahi ke daman mein kuchh bhi nahin khamushi ke siwa
meri tarikh logon se labrez thi is ko kya ho gaya

teri duniya ko nazdik se dekh kar khud pe afsos hai
is ki taswir kitni dil-awez thi is ko kya ho gaya

tum ne barud ki thailiyon mein jana tha nai nasl ko
aaj kahte ho ye amn-angez thi is ko kya ho gaya

us ki khak-e-shifa se jila pa gae kitne rumi yahan
ye zamin apni shaukat mein tabrez thi is ko kya ho gaya

tujh badan ke manazir ki nazzargi hai khizan-yafta
ye siyahat badi lutf-angez thi is ko kya ho gaya

pakke rangon mein rangi hui aurten kitni nayab hain
ye mohabbat jo mashshaq rangrez thi is ko kya ho gaya

zindagi apni tarsil ka marhala tai nahin kar saki
warna raftar mein maut se tez thi is ko kya ho gaya

ped ki chhaal bhi katne ka jatan kar nahin paegi
meri talwar fitrat mein khun-rez thi is ko kya ho gaya

shakhsiyat ke tanasub mein bechaargi badh rahi hai 'munir'
ye kahani bahut hi junun-khez thi is ko kya ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close