rakh di uDa ke KHak-e-bayaban kabhi kabhi

rakh di uda ke khak-e-bayaban kabhi kabhi
ras aa gaya hai gosha-e-zindan kabhi kabhi

lae hain hum buton pe bhi iman kabhi kabhi
qalb-o-nazar hue hain musalman kabhi kabhi

chhai hai khak-e-shahr-e-nigaran kabhi kabhi
dekha unhen qarib-e-rag-e-jaan kabhi kabhi

nalon ka tha karishma ki aah-e-rasa ka faiz
wa ho gaya hai khud dar-e-zindan kabhi kabhi

aql-e-fareb-kar se karta hai mashware
dhata hai kya sitam dil-e-nalan kabhi kabhi

zabt-e-alam hai ishq mein shart-e-wafa magar
aae hain ashk bhi sar-e-mizhgan kabhi kabhi

ek shor-e-hashr ho gaya mai-khanon mein bapa
saghar se hai utha mere tufan kabhi kabhi

tauf-e-harim-e-naz-e-butan mein kati hai umr
kaba ke bhi bane hain nigahban kabhi kabhi

dekha hai ye bhi main ne ba-faiz-e-junun 'munir'
aatish-kada bana hai gulistan kabhi kabhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close