ye zindagi hayat-numa ho to baat hai gham hi ba-qadr-e-zarf mila ho to baat hai shoala-fishaniyan bhi tere ishq tak rahen is dil se phir dhuan bhi utha ho to baat hai rang-e-zamana dekh ke tark-e-wafa sahi dil se tera khayal gaya ho to baat hai aasudagan-e-gham ki khizan kya bahaar kya dil mein koi bhi zakhm khula ho to baat hai ahl-e-junun zamane mein ruswa hue to kya tu ne bhi wo fasana suna ho to baat hai shikwa tere taghaful-e-paiham ka kya karen apna bhi eatibar kiya ho to baat hai 'mahir' hai khizr se bhi siwa gumrahi-pasand tujh sa hasin rah-numa ho to baat hai