dhuan hi dhuan shah-rahon mein tha mera shahr shoalon ki banhon mein tha haya ka zara shaiba tak nahin kisi ki nashili nigahon mein tha bade pyar se aaj mujh se mila jo hail kabhi meri rahon mein tha ba-zahir to tha wo farishta-sifat magar mere jhute gawahon mein tha mili be-gunahi ki us ko sanad jo duba sarapa gunahon mein tha 'kamal' aaj wo bhi harifon mein hai jo barson mere khair-khwahon mein tha