ye zindagi saza ke siwa aur kuchh nahin har sans bad-dua ke siwa aur kuchh nahin bikhri hain raston pe safar ki kahaniyan duniya nuqush-e-pa ke siwa aur kuchh nahin bachchon ki lash chaak-rida aur burida-sar har shahr karbala ke siwa aur kuchh nahin zambil zindagi mein badon ka diya hua kuchh sikka-e-dua ke siwa aur kuchh nahin ye tajraba mera hai ki ek lamha-e-nashat mitti bhari ghiza ke siwa aur kuchh nahin aks aur aaina mein agar rabta na ho ye bhi ghalat ana ke siwa aur kuchh nahin har shai ko us ke asl ki tamsil jaaniye kaunain mein khuda ke siwa aur kuchh nahin ai 'ramz' koi de de mujhe zahr-e-be-hisi ye aagahi saza ke siwa aur kuchh nahin