nazar aane se pahle dar raha hun ki har manzar ka pas-manzar raha hun mujhe hona padega reza reza main sar se panw tak patthar raha hun kisi ko kyun main ye ezaz bakhshunga main khud apni hifazat kar raha hun mujhi ko srukh-ru hone ka haq hai ki main apne lahu mein tar raha hun mere ghar mein to koi bhi nahin hai khuda jaane main kis se dar raha hun main kya jaanun gharon ka haal kya hai main sari zindagi bahar raha hun talluq hai isi basti se mera hamesha se magar bach kar raha hun