ye zor-o-shor sar-e-abshaar kaisa hai khamosh kab se hai ye kohsar kaisa hai koi hai aur bhi aaega jo usi jaisa wo aa chuka hai magar intizar kaisa hai jo chahte hain kisi ko yahan na aane den batao shahr-e-talab mein hisar kaisa hai ye kaisi shakh ke paiwand hain darakhton par ye kaise phal hain ye rang-e-bahaar kaisa hai hamesha soch se kam hi raha hai har hasil khayal-o-khwab ka ye intishaar kaisa hai kisi bhi ghar mein wo pahli mohabbat hai hi nahin koi bhi kahta nahin ye dayar kaisa hai har ek lafz ke mani badal gae 'majid' jahan-e-sher mein ye khalfashaar kaisa hai