kaun guzra tha mehrab-e-jaan se abhi khamushi shor bharta hua dhund mein koi shai jun damakti hui ek badan sa badan se ubharta hua sarf karti hui jaise saat koi lamha koi faramosh karta hua phir na jaane kahan tut kar ja gira ek saya saron se guzarta hua ek umr-e-gurezan ki mohlat bahut phailta hi gaya main ufuq-ta-ufuq mere baatin ko chhuti hui wo nigah aur main chaaron taraf panw dharta hua ye jo udti hui saat-e-khwab hai kitni mahsus hai kitni nayab hai phul palkon se chunti hui raushni aur main khushbuen tahrir karta hua mere bas mein the sare zaman-o-makan lek main dekhta rah gaya in o aan chal diya le ke chutki mein koi zamin aasman aasman gard karta hua apni maujudgi se tha main be-khabar dekhta kya hun aise mein yak-dam idhar qata karti hui shab ke pahlu mein ek aadmi tutta aur bikharta hua