yun akela dasht-e-ghurbat mein dil-e-nakaam tha pichhe pichhe maut thi aage khuda ka nam tha bante hi ghar ibtida mein ru-kash-e-anjam tha tinke chun kar jab nazar ki aashiyan ek dam tha be-mahal dil ke bujhane se unhen kya mil gaya jis ko sham-e-subh samjhe wo charagh-e-sham tha haal-e-munim khud-gharaz kya jaanen mai-khana mein kal rind the be-fikr gardish mein dimagh-e-jam tha bas yahi fiqra ki sham-e-hijr ne mara mujhe koi kah aata to kitna mukhtasar paigham tha saikdon bar ek aah-e-sard se tharra chuka kis qadar nazdik dil se aasman ka baam tha namwar phir kaun hoga kar-zar-e-dahr mein jab yahan dil sa alam-bardar-e-gham gumnam tha monis-e-wahdat ko kho baitha badi mushkil ye hai katna ek sham-e-furqat ka zara sa kaam tha sau jagah se chhin raha tha jab tu darta kis liye kha gaya dhoka ki mere dil ki surat dam tha sar chadhaya main ne chun chun kar khas-o-khashak ko bagh ke tinke the wo jin ka nasheman nam tha zabh mein ek bhid si dekhi thi lekin kya khabar gard meri hasraten thin ya hujum-e-am tha mere nale the shab-e-furqat mein kitne bar-mahal un ke kanon mein magar ek shor-e-be-hangam tha kya zamane ka gila 'saqib' kisi ka kya qusur ye dil-e-gham-dost khud hi dushman-e-aram tha