yun ashk baraste hain mere dida-e-tar se jis tarah se sawan ki ghata jhum ke barse han ashk-e-nadamat jo gire dida-e-tar se wo daman-e-isyan pe nazar aae guhar se mahaul to badla hai meri jehd ne akasr han main nahin badla kabhi mahaul ke dar se duniya na kahin mujh ko nigahon se gira de ab itna gira do na mujhe apni nazar se dekhe jo koi sada-mizaji to ye samjhe waqif hi nahin aap kisi aib-o-hunar se jis rah mein guzri hai mere sar pe qayamat sau bar to guzra hun usi rahguzar se is waqt jo guzri hai na puchho use 'wasfi' takrai hai jab un ki nazar meri nazar se