yun ba-zahir hai gulsitan ki tarah

yun ba-zahir hai gulsitan ki tarah
zist hai mausam-e-khizan ki tarah

pahle dil mein samaya wo aur phir
chha gaya gard-e-asman ki tarah

wo muqaddas kitab ki manind
aur main hafiz-e-quran ki tarah

bhul kar us ko main ne ki hai bhul
jism mein tha mere wo jaan ki tarah

wo dhadak kar na raaz sab kah de
dil sanbhaale raho zaban ki tarah

qahqahe bhi lagao kuchh naseh
gham mein ho jaoge kaman ki tarah

nikla zahid bhi sath mai pi kar
main jawan aur wo naujawan ki tarah

us ka har lamha lamha hai anmol
aur main umr-e-raegan ki tarah

main satah par habab sa larzan
aur wo bahr-e-be-karan ki tarah

main hisab-o-kitab se khaif
aur waqt sar pe imtihan ki tarah

main to tanha guzar gaya 'shahid'
wo jo guzra to karwan ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close