agar ye sach hai ujala dikhai deta hai

agar ye sach hai ujala dikhai deta hai
to kyon chaman mein andhera dikhai deta hai

wo aaina ho ki gul ho ki hon mah-o-khurshid
sabhi mein aap ka jalwa dikhai deta hai

jise mili na ho saqi ki mast aankhon se
sharab pi ke bhi pyasa dikhai deta hai

manao jashn ki tariki-e-shab-e-gham mein
nigar-e-subh ka chehra dikhai deta hai

ilahi khair mere jazba-e-mohabbat ki
abhi se khwab mein sahra dikhai deta hai

wo gul jo ba’is-e-sad-zinat-e-gulistan hain
unhin pe kharon ka pahra dikhai deta hai

wo na-murad-e-azal jis ko ishq kahte hain
hawas ke shahr mein tanha dikhai deta hai

khirad jo dekhe to har samt ek andhera hai
junun ko chand sunahra dikhai deta hai

hum aaina bhi jo dekhen to 'yaad' kya hasil
hamein to un ka hi chehra dikhai deta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close