yun badalti hai kahin barq-o-sharar ki surat

yun badalti hai kahin barq-o-sharar ki surat
qabil-e-did hui hai gul-e-tar ki surat

zulf ki aad mein thi jaan-e-nazar ki surat
raat guzri to nazar aai sahar ki surat

un ke lab par hai tabassum meri aankhon mein surur
kya dikhai hai duaon ne asar ki surat

qafile walo nae qafila-salar aae
ab badal jaegi andaz-e-safar ki surat

kya karishma hai mere jazba-e-azadi ka
thi jo diwar kabhi ab hai wo dar ki surat

ab koi hausla-afza-e-hunar hai 'akhtar'
ab nazar aaegi arbab-e-hunar ki surat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close