zaban band rahi dil ka muddaa na kaha magar nigah ne us anjuman mein kya na kaha muhit-e-shauq mein hum dubte ubharte rahe khuda gawah kabhi jaur-e-na-khuda na kaha sanam-kada hai ki ek mahfil-e-khuda-wandan bahut khafa hua wo but jise khuda na kaha hazar khizr-numa log raston mein mile hamare dil ne kisi ko bhi rahnuma na kaha ye kaenat to hai khair mujh se begana agar nigah ne teri bhi aashna na kaha