yun bahaar aai hai is bar ki jaise qasid kucha-e-yar se be-nail-e-maram aata hai har koi shahr mein phirta hai salamat-daman rind mai-khane se shaista-khiram aata hai hawas-e-mutrib-o-saqi mein pareshan akasr abr aata hai kabhi mah-e-tamam aata hai shauq walon ki hazin mahfil-e-shab mein ab bhi aamad-e-subh ki surat tera nam aata hai ab bhi elan-e-sahar karta hua mast koi dagh-e-dil kar ke farozan sar-e-sham aata hai