yun be-kar na baitho din bhar yun paiham aansu na bahao itna yaad karo ki bil-akhir aasani se bhul bhi jao sare raaz samjho lo lekin khud kyun un ko lab par lao dhoka dene wala ro de aisi shan se dhoka khao zulmat se manus hain aankhen chand ubhra to mund jaengi baalon ko uljha rahne do ek uljhaw sau suljhaw kal ko kal par rakkho jab kal aaega dekha jaega aaj ki raat bahut bhaari hai aaj ki raat yahin rah jao kab tak yun parde mein husn mohabbat ko thukraata maut ka din bhi hashr ka din hai chhupne walo samne aao