yun bhatakne mein ki hai basar zindagi jaise aa jaegi rah par zindagi ye karo wo nahin wo karo ye nahin tokti hi rahi umr bhar zindagi is taraf chal diye to kisi ne kaha us taraf aaiye hai udhar zindagi is taraf jaiye us taraf jaiye kis taraf jaiye hai kidhar zindagi taulti bhi rahi dolti bhi rahi kuchh idhar zindagi kuchh udhar zindagi kuchh pata to chale kuchh khabar to mile hum kidhar ja rahe hain kidhar zindagi hum nahin jaante ye nahin jaante hai khabar-dar-khabar be-khabar zindagi hai kahin saikdon ekdon ka mahal aur kahin ek kamre ka ghar zindagi