wasl ne jab meri takhliq ko zanjir kya hijr kahne laga main sath hun tu likhta ja tujh se main jang ka elan bhi kar hi dunga mere dushman tu mere qad ke barabar to aa mujh se nadan ki kitaben na samajh pae hain tu samajhta hai ye samjhenge sahife ai khuda dub kar dard ke dariya mein ai mere hamdam tujh ko kaise main bataun ki main ne kya paya ashk bahar to rawan aankh se hota hai nadim sochta hun ki ye andar main kahan se aaya