yun bhi dil ahbab ke hum ne gahe gahe rakkhe the apne zakhm-e-nazar par khush-fahmi ke phahe rakkhe the hum ne tazad-e-dahr ko samjha do-rahe tartib diye aur baratne nikle to dekha sah-rahe rakkhe the raqs-kada ho bazm-e-sukhan ho koi kargah-e-fan ho zardozon ne apni ma-tahti mein julahe rakkhe the mohtasibon ki khatir bhi apne izhaar mein kuchh pahlu rakh to liye the hum ne ab chahe an-chahe rakkhe the jo wajh-e-rahat bhi na the aur tut gae to gham na hua aah wo rishte kyun hum ne ek umr nibahe rakkhe the kahkashan-bandi mein sukhan ki rah gai 'saz' kasar kaisi lafz to hum ne chun ke najume mohre mahe rakkhe the