tah-ba-tah dariya ke sab asrar tak wo le gaya lahr ek is par se us par tak wo le gaya kaisa saya tha ki gul ki us ne sari raushni sath apne dhund ki diwar tak wo le gaya ek tha bimar qaidi ek gawah-e-chashm-did ek hi zanjir ko darbar tak wo le gaya tha charagh-e-iltija lekin bujha is shan se har mukhatib se lab-e-izhaar tak wo le gaya har sadaf mein nur ki thi bund sharmai hui khalwaton se khinch kar bazar tak wo le gaya