yun bhi hone ka pata dete hain apni zanjir hila dete hain pahle har baat pe hum sochte the ab faqat hath utha dete hain qafila aaj kahan thahrega kya khabar aabla-pa dete hain baz-auqat hawa ke jhonke lau charaghon ki badha dete hain dil mein jab baat nahin rah sakti kisi patthar ko suna dete hain ek diwar uthane ke liye ek diwar gira dete hain sochte hain sar-e-sahil 'baqi' ye samundar hamein kya dete hain