ek aalam-e-hijran hi ab hum ko pasand aaya ye khana-e-viran hi ab hum ko pasand aaya benam-o-nishan rahna ghurbat ke ilaqe mein ye shahr bhi dilkash tha tab hum ko pasand aaya tha lal hua manzar suraj ke nikalne se wo waqt tha wo chehra jab hum ko pasand aaya hai qat-e-talluq se dil khush bhi bahut apna ek had hi bana lena kab hum ko pasand aaya aana wo 'munir' us ka be-khauf-o-khatar hum tak ye turfa tamasha bhi shab hum ko pasand aaya