yun bhi kya tha aur ab kya rah gaya main akela tha akela rah gaya hijr mein hai kaun kitna be-qarar lekin in baaton mein ab kya rah gaya maslahat kafir thi baz aai nahin dil wo nadan tha ki rota rah gaya saqi-e-umr-e-do-roza yaad rakh meri jaanib se taqaza rah gaya chaarasazo bhul jaunga use ab sunao zakhm kitna rah gaya zindagi kuchh is tarah katti gai jaise koi hath malta rah gaya bhid tanhai ki chhutti hi nahin har taraf chehra hi chehra rah gaya maut kya aati bichhad kar dost se dekh lo 'almas' zinda rah gaya