yaad mazi ke charaghon ko bujhaya na karo

yaad mazi ke charaghon ko bujhaya na karo
tum bhi tanha na raho mujh ko bhi tanha na karo

nafas-e-baad-e-saba hath na aaega kabhi
gul ki udti hui khushbu ka ahata na karo

hum ne dekha hai dam-e-akhir-e-shab khwab koi
tum se kahna hai ki tabir ka charcha na karo

kuchh na kuchh hoga mere khak udane ka sabab
jaane walo mujhe aawaza-e-sahra na karo

yun na mahsus ho aflak-nashin hai koi
is qadar dur se to mujh ko pukara na karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close