yun bhi nahin ki dil mein koi gham nahin raha

yun bhi nahin ki dil mein koi gham nahin raha
ye silsila kuchh itna munazzam nahin raha

dil se to khair dho gai barish tamam naqsh
diwar-e-shahr ka bhi wo aalam nahin raha

zid par wo apni aaj bhi qaem to hai magar
agla sa wo bayan mein dam-kham nahin raha

mayus ho chuka hai ki hai mutmain ye dil
wo zakhm bhar gae hain ki marham nahin raha

kashti-e-dil to ek thapede ki mar thi
tufan-e-naz kis liye ab tham nahin raha

chhodi hai jab se hum ne 'zafar' aajizi ki khu
itna mizaj us ka bhi barham nahin raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close