yun bhi shab-e-firaq saza kaTte rahe

yun bhi shab-e-firaq saza katte rahe
likh likh ke khat pe un ka pata katte rahe

ahl-e-hawas ne kat li sone ki khetiyan
khuddar log fasl-e-ana katte rahe

jo jis ke tha nasib mein le kar chala gaya
qiston mein apne bhai gala katte rahe

jin ko payam-e-amn se parkhash thi bahut
wo par kabutaron ke sada katte rahe

tufan ka zor kam hua lahren bhi tham gain
dariyaon mein safine hawa katte rahe

har gam par tha man ki duaon ka aasra
dushman hazar dast-e-dua katte rahe

'sarwat' kisi maqam pe khai nahin shikast
rasta safar mein rah-numa katte rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close