us ko milegi dard ki daulat jahan se guzre na koi meri tarah imtihan se mere khuda mujhe tu zamin par utar de ghabra gaya hai dil mera unchi udan se aisa na ho ki karb se diwaren ro paden zyaada na baat kijiye sune makan se main dusron ke aks mein dhalta chala gaya taswir bolti rahi meri zaban se milti hain kitni rotiyan mehnat ki dhup mein puchhe koi ye khet mein ja kar kisan se ab tak haweliyon mein mera zikr-e-khair hai rishta juda hua hai abhi khandan se guzregi raat kaise ki din to guzar gaya padhta hun roz sham ka akhbar dhyan se pardes mein bhi des ki khushbu nahin gai nata hai meri ruh ka hindostan se manzil ki justuju mein bhatak jao na kahin 'sarwat' charagh le ke nikalna makan se