yun bhi tera ehsan hai aane ke liye aa

yun bhi tera ehsan hai aane ke liye aa
ai dost kisi roz na jaane ke liye aa

har-chand nahin shauq ko yara-e-tamasha
khud ko na sahi mujh ko dikhane ke liye aa

ye umr, ye barsat, ye bhigi hui raaten
in raaton ko afsana banane ke liye aa

jaise tujhe aate hain na aane ke bahane
aise hi bahane se na jaane ke liye aa

mana ki mohabbat ka chhupana hai mohabbat
chupke se kisi roz jatane ke liye aa

taqdir bhi majbur hai, tadbir bhi majbur
is kohna aqide ko mitane ke liye aa

aariz pe shafaq, daman-e-mizhgan mein sitare
yun ishq ki tauqir badhane ke liye aa

'talib' ko ye kya ilm, karam hai ki sitam hai
jaane ke liye ruth, manane ke liye aa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close