yun bhi to sataya hai teri jalwagari ne aankhen na milain meri baaligh-nazari ne minnat-kash-e-pindar-e-junun hai dil-e-pur-khun un ka bhi sahaara na liya be-khabari ne ai husn-e-dil-ara teri ek ek ada ko parwan chadhaya meri hairat-nagari ne thi marhala-e-sakht wo manzil ki jahan par tum ko bhi sambhaala meri aashufta-sari ne tum khud hi chale aaoge shayad sar-e-manzil ek rah nikali hai meri dar-badari ne ai khastagi-e-ishq chaman mein to guzar kar phulon ka bhi rakkha hai bharam jama-dari ne din raat kiye ek wo tufan uthaya ghunchon ke liye mauj-e-nasim-sahari ne afsos unhen zauq-e-nazar hi ne giraya parde jo uthae the meri dida-wari ne chup hain mah-o-mirrikh zamin hai mutabassim khincha hai zara tul umid-e-bashari ne hairat mujhe is par hai 'shahab'-e-sukhan-ara taka na tujhe waswasa-e-namwari ne