yun chalte hain log rah zalim koi chaal hai ye bhi aah zalim auron ki taraf tu dekhta hai idhar bhi to kar nigah zalim hai rast to ye ki main na dekha tujh sa koi kaj-kulah zalim kuchh rahm bhi hai teri jafa se ek khalq hai dad-khwah zalim kis waste bolta nahin tu kya mujh se hua gunah zalim ai 'mushafi' dil kahin na dije hoti hai buri ye chah zalim