piri mein kya jawani ke mausam ko roiye ab subh hone aai hai ek dam to soiye rukhsar us ke hae re jab dekhte hain hum aata hai ji mein aankhon ko un mein gadoiye ikhlas dil se chahiye sajda namaz mein be-faeda hai warna jo yun waqt khoiye kis taur aansuon mein nahate hain gham-kashan is aab-e-garm mein to na ungli duboiye matlab ko to pahunchte nahin andhe ke se taur hum marte phire hain u nahin tappe toiye ab jaan jism-e-khaki se tang aa gai bahut kab tak is ek tokari mitti ko dhoiye aaluda us gali ki jo hun khak se to 'mir' aab-e-hayat se bhi na we panw dhoiye