yun darakhton ki hai bhar-mar parinde nahin hain kaha jata hai ki us par parinde nahin hain jo parinda hai wo thak haar ke baitha hua hai aur jo udne ko hain tayyar parinde nahin hain shakh-e-jamhur pe imroz jo qabiz hain yahan billiyan hain wo khabar-dar parinde nahin hain aa rahe hain na kaha na ki hain raste mein abhi hum bhi insan hi hain yar parinde nahin hain chug rahe hain kisi pardes mein dana-dunka mausam-e-gul mein bhi is bar parinde nahin hain tujh samaat ki munderon pe chahakte lekin mere ashaar hain ashaar parinde nahin hain badi aasani se uf dam mein aa jate hain ye bagh-e-dil mein mere hushyar parinde nahin hain