wo is tarah bhi mujhe aazmane lagta hai mizaj puchhta hai muskurane lagta hai koi to hai jo rihai ke hukm se pahle hamari qaid ki muddat badhane lagta hai nigah us ki ajab hai ki kuchh nahin kahti magar badan hai ki aksar bulane lagta hai amir-e-shahr ki mutthi mein hai mera munsif bayan se pahle sazaen sunane lagta hai hamari ruh ko rukhsat hue zamana hua ye dekhna hai badan kab thikane lagta hai