yun dil hai sar-ba-sajda kisi ke huzur mein jaise ki ghota-zan ho koi bahr-e-nur mein hans hans ke kah rahi hai chaman ki kali kali aata hai lutf husn ko apne zuhur mein saqi nigah-e-mast se deta hai jab kabhi lagte hain chaar chand hamare surur mein khaen janab-e-shaikh fareb-e-qayas-o-wahm ye kaif-e-jaan-nawaz kahan chashm-e-hur mein misl-e-kalim kaun sune lan-taraniyan mere liye kashish hi kahan koh-e-tur mein besh az do harf apni nahin dastan-e-dard hum gir ke aasman se atke khajur mein ye shokhiyan kalam mein yunhi nahin 'amin' padhne chale hain aap ghazal rampur mein