ho sake to dil-e-sad-chaak dikhaya jae ab bhari bazm mein ahwal sunaya jae hae us jaan-e-tamanna se nibhegi kaise hum se to raaz na ek roz chhupaya jae apna gham ho to use kah ke sukun mil jae us ka gham ho to kise ja ke sunaya jae raat bhar jin ki ziya se rahe raushan kamre subh-dam un hi charaghon ko bujhaya jae dhyan mein jis ke kai jagti raaten guzrin 'rahat' ek raat use bhi to jagaya jae