yun hi rakkhoge imtihan mein kya nahin aaegi jaan jaan mein kya kyun sada ka nahin jawab aata koi rahta nahin makan mein kya ek zamana hai ru-ba-ru mere tum na aaoge darmiyan mein kya wo jo qisse dilon ke andar hain wo bhi laoge darmiyan mein kya kis qadar talkhiyan hain lahje mein zahr bote ho tum zaban mein kya dil ko shikwa nahin koi tum se hum ne rahna nahin jahan mein kya wo jo ek lafz e'tibar ka tha ab nahin hai wo darmiyan mein kya mere khwabon ke jo parinde the hain abhi tak teri aman mein kya ab to ye bhi nahin khayal aata chhod aae the is jahan mein kya ye bakheda jo zindagi ka hai chhod dun us ko darmiyan mein kya chand wade the chand dawe the aur rakha tha dastan mein kya jaane wo dil tha ya diya koi raat jalta tha shama-dan mein kya