yun ho na mere samne ai husn be-hijab har aan badh raha hai mera zauq-e-iztirab chahun agar badal dun main ye nazm-e-kaenat makhfi hai mere sine mein duniya-e-inqalab wo muskura rahe hain nigahon ke samne shayad meri du'aen huin aaj mustajab makhmur aankhen mast adaen wo bankpan uthti hui jawani ubalta hua shabab daman bacha ke aap kahan jaenge 'zaki' zarre bhi hain liye hue saman-e-inqilab