wafaen hongi zeb-e-taq-e-nisyan hum na kahte the bhula baithoge tum sab ‘ahd-o-paiman hum na kahte the milenge khak mein sab dil ke arman hum na kahte the chaman ban jaega khwab-e-pareshan hum na kahte the uthaoge na kuchh lutf-e-bahaaran hum na kahte the karoge tum bhi ek din chaak daman hum na kahte the chhupaoge tum apna dard-e-dil kab tak tasanno' se ubhar aaega aakhir zakhm-e-pinhan hum na kahte the milegi lazzat-e-kaam-o-dahan jab khun-e-nahaq se badhega aur bhi ye zauq-e-‘isyan hum na kahte the raqabat kashmakash aur ye kudurat ahl-e-gulshan ki lahu rulwaegi fasl-e-bahaaran hum na kahte the manao khair apni ab mera ghar phunkne walo kahin tum bhi na ho sho’la-ba-daman hum na kahte the jidhar dekho 'zaki' takhrib ki farman-rawai hai uthega khak ke zarron se tufan hum na kahte the